Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

charagh hote hue tirgi qubul ki hai

Shakeel Azmi

charagh hote hue tirgi qubul ki hai

Shakeel Azmi

MORE BYShakeel Azmi

    charāġh hote hue tīrgī qubūl kī hai

    tamām 'umr kī tā'zīr ek bhuul kī hai

    ḳhayāl aayā hai ab rāsta badal leñge

    abhī talak to bahut zindagī fuzūl kī hai

    ḳhudā kare ki ye paudā zamīñ kā ho jaa.e

    ki aarzū mire āñgan ko ek phuul kī hai

    na jaane kaun sā lamha mire qarār kā hai

    na jaane kaun sī sā'at tire husūl kī hai

    na jaane kaun sā chehra mirī kitāb kā hai

    na jaane kaun sī sūrat tire nuzūl kī hai

    jinheñ ḳhayāl ho āñkhoñ kā lauT jaa.eñ vo

    ab is ke baa'd hukūmat safar meñ dhuul kī hai

    ye shohrateñ hameñ yūñhī nahīñ milī haiñ 'shakīl'

    ġhazal ne ham se bhī qīmat bahut vasūl kī hai

    charagh hote hue tirgi qubul ki hai

    tamam 'umr ki ta'zir ek bhul ki hai

    KHayal aaya hai ab rasta badal lenge

    abhi talak to bahut zindagi fuzul ki hai

    KHuda kare ki ye pauda zamin ka ho jae

    ki aarzu mere aangan ko ek phul ki hai

    na jaane kaun sa lamha mere qarar ka hai

    na jaane kaun si sa'at tere husul ki hai

    na jaane kaun sa chehra meri kitab ka hai

    na jaane kaun si surat tere nuzul ki hai

    jinhen KHayal ho aankhon ka lauT jaen wo

    ab is ke ba'd hukumat safar mein dhul ki hai

    ye shohraten hamein yunhi nahin mili hain 'shakil'

    ghazal ne hum se bhi qimat bahut wasul ki hai

    Source :
    • Book : Dhoop Dariya (Pg. 60)
    • Author : Shakeel Azmi
    • Publication : Arshia Publications (2016)
    • Edition : 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now