Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aks-e-falak par aaina hai raushan aab zaKHiron ka

Zeb Ghauri

aks-e-falak par aaina hai raushan aab zaKHiron ka

Zeb Ghauri

MORE BYZeb Ghauri

    aks-e-falak par ā.īna hai raushan aab zaḳhīroñ

    garm-e-safar hai qāz-e-qāfila sail-e-ravāñ hai tīroñ

    kaTe hue khetoñ muñDeroñ par abrak zañgārī

    thakī huī miTTī ke sahāre Dher lagā hai hīroñ

    tez qalam kirnoñ ne banā.e haiñ kyā kyā hairat paikar

    jhiil ke Thahre hue paanī par naqsh utrā tasvīroñ

    kyā kuchh dil ḳhākistar par likh ke ga.ī hai mauj-e-havā

    paḌhne vaalā koī nahīñ hai in miTtī tahrīroñ

    reg-e-nafas zā.iqa muñh meñ gard-e-mah-o-sāl āñkhoñ meñ

    maiñ huuñ 'zeb' aur chaar taraf ik sahrā hai ta.abīroñ

    aks-e-falak par aaina hai raushan aab zaKHiron ka

    garm-e-safar hai qaz-e-qafila sail-e-rawan hai tiron ka

    kaTe hue kheton ki munDeron par abrak ki zangari

    thaki hui miTTi ke sahaare Dher laga hai hiron ka

    tez qalam kirnon ne banae hain kya kya hairat paikar

    jhil ke Thahre hue pani par naqsh utra taswiron ka

    kya kuchh dil ki KHakistar par likh ke gai hai mauj-e-hawa

    paDhne wala koi nahin hai in miTti tahriron ka

    reg-e-nafas ka zaiqa munh mein gard-e-mah-o-sal aankhon mein

    main hun 'zeb' aur chaar taraf ek sahra hai tabiron ka

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    aks-e-falak par aaina hai raushan aab zaKHiron ka Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque

    aks-e-falak par aaina hai raushan aab zaKHiron ka Nomaan Shauque

    Source:

    Zard Zarkhez (Pg. 158)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now