Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aks hairan hai aaina kaun hai

Saleem Muhiuddin

aks hairan hai aaina kaun hai

Saleem Muhiuddin

MORE BYSaleem Muhiuddin

    aks hairān hai aa.ina kaun hai

    vo hai ḳhushbū to phir phuul kaun hai

    dil se nikle ho palkoñ pe dam lo zarā

    ho musāfir tumheñ roktā kaun hai

    ik samundar ne ḳhud ko jazīra kiyā

    kyā huā kyuuñ huā pūchhtā kaun hai

    ġhair-ābād hai vo galī vo makāñ

    us darīche se phir jhāñktā kaun hai

    zindagī hādse ke sivā kuchh nahīñ

    hādse par magar sochtā kaun hai

    zindagī meñ agar haiñ añdhere 'salīm'

    terī ġhazloñ meñ phir chāñd kaun hai

    aks hairan hai aaina kaun hai

    wo hai KHushbu to phir phul sa kaun hai

    dil se nikle ho palkon pe dam lo zara

    ho musafir tumhein rokta kaun hai

    ek samundar ne KHud ko jazira kiya

    kya hua kyun hua puchhta kaun hai

    ghair-abaad hai wo gali wo makan

    us dariche se phir jhankta kaun hai

    zindagi hadse ke siwa kuchh nahin

    hadse par magar sochta kaun hai

    zindagi mein agar hain andhere 'salim'

    teri ghazlon mein phir chand sa kaun hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now