aks sarapa DhunD rahe hain
aks sarāpā DhūñD rahe haiñ
ek thā chehra DhūñD rahe haiñ
apnī manzil gum hai lekin
us kā rasta DhūñD rahe haiñ
ek jahāñ thā Duub gayā hai
ek zamāna DhūñD rahe haiñ
ek parinda qaid thā us meñ
ḳhālī piñjra DhūñD rahe haiñ
rozī ne kab puurā chhoḌā
ḳhud ko aadhā DhūñD rahe haiñ
tū bichhḌā hai tujh ko 'āshiq'
lahza lahza DhūñD rahe haiñ
aks sarapa DhunD rahe hain
ek tha chehra DhunD rahe hain
apni manzil gum hai lekin
us ka rasta DhunD rahe hain
ek jahan tha Dub gaya hai
ek zamana DhunD rahe hain
ek parinda qaid tha us mein
KHali pinjra DhunD rahe hain
rozi ne kab pura chhoDa
KHud ko aadha DhunD rahe hain
tu bichhDa hai tujh ko 'ashiq'
lahza lahza DhunD rahe hain
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 399)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.