Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

alam hai soz hai yaaden hain gham hai wahshat hai

Zafar Adil Quraishi

alam hai soz hai yaaden hain gham hai wahshat hai

Zafar Adil Quraishi

MORE BYZafar Adil Quraishi

    alam hai soz hai yādeñ haiñ ġham hai vahshat hai

    mire nasīb meñ jo kuchh bhī hai ġhanīmat hai

    jis anjuman meñ uThe uTh ke qatl-e-ām kare

    nigāh-e-nāz uThnā bhī ik qayāmat hai

    ye aur baat ki hai husn-e-ġham se begāna

    hayāt-e-ishq magar husn badaulat hai

    zabāñ se apnī to dīvāna kuchh nahīñ kahtā

    zamāna dekh ke sūrat ko mahv-e-hairat hai

    daġhā fareb hasad jhuuT aur makkārī

    jafā ke daur meñ insāñ ye fitrat hai

    tamām umr na hogī ḳhirad-navāzoñ

    mire junūñ zamāne meñ jitnī shohrat hai

    vo sāmne ho nazar ke vo arz-e-hāl kare

    bahut dinoñ se ye 'ādil' ke dil meñ hasrat hai

    alam hai soz hai yaaden hain gham hai wahshat hai

    mere nasib mein jo kuchh bhi hai ghanimat hai

    jis anjuman mein uThe uTh ke qatl-e-am kare

    nigah-e-naz ka uThna bhi ek qayamat hai

    ye aur baat ki hai husn-e-gham se begana

    hayat-e-ishq magar husn ki badaulat hai

    zaban se apni to diwana kuchh nahin kahta

    zamana dekh ke surat ko mahw-e-hairat hai

    dagha fareb hasad jhuT aur makkari

    jafa ke daur mein insan ki ye hi fitrat hai

    tamam umr na hogi KHirad-nawazon ki

    mere junun ki zamane mein jitni shohrat hai

    wo samne ho nazar ke wo arz-e-haal kare

    bahut dinon se ye 'adil' ke dil mein hasrat hai

    Source:

    Inkishaf-e-Sukhan (Pg. 95)

    • Author: Zafar Adil Quraishi
      • Publisher: Zafar Adil Quraishi
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now