Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

alam ki baat kya samjhen KHushi ka raaz kya jaanen

Jagdish Mehta Dard

alam ki baat kya samjhen KHushi ka raaz kya jaanen

Jagdish Mehta Dard

MORE BYJagdish Mehta Dard

    alam baat kyā samjheñ ḳhushī raaz kyā jāneñ

    ḳhabar apnī nahīñ jin ko kisī raaz kyā jāneñ

    jinheñ pechīdgī hālāt pāband rakhtī hai

    vo jaane bhī kisī zindagī raaz kyā jāneñ

    ye 'uqda ḳhaas hai is ko koī mansūr kholegā

    ḳhirad vaale junūn-e-āgahī raaz kyā jāneñ

    asīrān-e-fareb-ārā.ī-e-dair-o-haram āḳhir

    sulagte 'ārizoñ dilkashī raaz kyā jāneñ

    munāsib thā ye mauzū'-e-suḳhan bhī mai-parastoñ se

    janāb-e-shaiḳh lutf-e-mai-kashī raaz kyā jāneñ

    janāb-e-dard se pūchho ki lutf-e-dil-lagī kyā hai

    jo dil rakhte nahīñ dil lagī raaz kyā jāneñ

    alam ki baat kya samjhen KHushi ka raaz kya jaanen

    KHabar apni nahin jin ko kisi ka raaz kya jaanen

    jinhen pechidgi haalat ki paband rakhti hai

    wo jaane bhi kisi ki zindagi ka raaz kya jaanen

    ye 'uqda KHas hai is ko koi mansur kholega

    KHirad wale junun-e-agahi ka raaz kya jaanen

    asiran-e-fareb-arai-e-dair-o-haram aaKHir

    sulagte 'arizon ki dilkashi ka raaz kya jaanen

    munasib tha ye mauzu'-e-suKHan bhi mai-paraston se

    janab-e-shaiKH lutf-e-mai-kashi ka raaz kya jaanen

    janab-e-dard se puchho ki lutf-e-dil-lagi kya hai

    jo dil rakhte nahin dil ki lagi ka raaz kya jaanen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now