Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

alam maal agar hai to phir KHushi kya hai

Rishi Patialvi

alam maal agar hai to phir KHushi kya hai

Rishi Patialvi

MORE BYRishi Patialvi

    alam ma.aal agar hai to phir ḳhushī kyā hai

    koī sazā hai gunāhoñ zindagī kyā hai

    hameñ vo yuuñ bhī bil-āḳhir miTā.eñge yuuñ bhī

    sitam ke ba.ad karam bhī to hai abhī kyā hai

    nizām-e-bazm-e-do-ālam hai intishār-āgīñ

    nigāh-e-dost meñ āsār-e-barhamī kyā hai

    kisī maqām pe bhī mutma.in nahīñ nazreñ

    ziyāñ hai zauq-e-tajassus āgahī kyā hai

    namāz-e-ishq jo shāmil nahīñ ibādat meñ

    fareb-e-kufr sarāsar hai bandagī kyā hai

    badal ga.ī na agar bāġhbāñ niyyat

    chaman rañg badalne meñ der kyā hai

    guzar ga.ī hai shab-e-ġham yaqīñ nahīñ aatā

    sahar numūd nahīñ hai to raushnī kyā hai

    matā-e-husn-e-do-ālam se bhī sivā kahiye

    qamar-jamāl hai tasvīr aap kyā hai

    jo sehr-e-husn tāsīr nahīñ qaa.il

    tirī nazar se vo pūchhe ki sāhirī kyā hai

    kisī husn kahāñ apnā zauq-e-dīd kahāñ

    kisī ke jalvoñ se nazroñ hamsarī kyā hai

    qadam qadam pe diyā hai fareb rahbar ne

    jo rahbarī use kahiye to rahzanī kyā hai

    hamāre dil pe uchaTtī nazar Daal kahīñ

    tujhe ḳhabar to chale soz-e-āshiqī kyā hai

    hamīñ ne dil meñ jagah hameñ pe mashq-e-sitam

    ye dostī hai to ai dost dushmanī kyā hai

    bahār aa.ī hai ab aap bhī chale aa.eñ

    bahār ko bhī ḳhabar ho shaguftagī kyā hai

    vafā naam baḌā ho to ho 'rishī' varna

    jafā-e-dost meñ bhī lutf kamī kyā hai

    alam maal agar hai to phir KHushi kya hai

    koi saza hai gunahon ki zindagi kya hai

    hamein wo yun bhi bil-aKHir miTaenge yun bhi

    sitam ke baad karam bhi to hai abhi kya hai

    nizam-e-bazm-e-do-alam hai intishaar-agin

    nigah-e-dost mein aasar-e-barhami kya hai

    kisi maqam pe bhi mutmain nahin nazren

    ziyan hai zauq-e-tajassus ka aagahi kya hai

    namaz-e-ishq jo shamil nahin ibaadat mein

    fareb-e-kufr sarasar hai bandagi kya hai

    badal gai na agar baghban ki niyyat hi

    chaman ka rang badalne mein der hi kya hai

    guzar gai hai shab-e-gham yaqin nahin aata

    sahar numud nahin hai to raushni kya hai

    mata-e-husn-e-do-alam se bhi siwa kahiye

    qamar-jamal hai taswir aap ki kya hai

    jo sehr-e-husn ki tasir ka nahin qail

    teri nazar se wo puchhe ki sahiri kya hai

    kisi ka husn kahan apna zauq-e-did kahan

    kisi ke jalwon se nazron ki hamsari kya hai

    qadam qadam pe diya hai fareb rahbar ne

    jo rahbari use kahiye to rahzani kya hai

    hamare dil pe uchaTti nazar hi Dal kahin

    tujhe KHabar to chale soz-e-ashiqi kya hai

    hamin ne dil mein jagah di hamein pe mashq-e-sitam

    ye dosti hai to ai dost dushmani kya hai

    bahaar aai hai ab aap bhi chale aaen

    bahaar ko bhi KHabar ho shaguftagi kya hai

    wafa ka nam baDa ho to ho 'rishi' warna

    jafa-e-dost mein bhi lutf ki kami kya hai

    Source:

    Phool Unki Muskanon Ke (Pg. E-17 P-15)

    • Author: Rishi Patialvi
      • Edition: 1978
      • Publisher: Jamal Printing Press, Delhi
      • Year of Publication: 1978
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now