Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

alfaz-e-be-sada ka imkan aaine mein

Ghalib Irfan

alfaz-e-be-sada ka imkan aaine mein

Ghalib Irfan

MORE BYGhalib Irfan

    alfāz-e-be-sadā imkān aa.ine meñ

    dekhā hai maiñ ne aksar be-jān aa.ine meñ

    kamre meñ raqs kartī chaltī haiñ jab havā.eñ

    kuchh aks bolte haiñ har aan aa.ine meñ

    hogā kisī chehra pahchān lagan meñ

    hoñgī kisī āñkheñ hairān aa.ine meñ

    tahzīb tasallut hai aa.ine se bāhar

    tārīḳh ke safar vijdān aa.ine meñ

    rangoñ bārishoñ se dhuñdlā gayā hai manzar

    aayā huā hai koī tūfān aa.ine meñ

    zinda haqīqatoñ hotī hai parda-poshī

    paltī hai jab ra.ūnat nādān aa.ine meñ

    ho raushnī ki zulmat sahrā ho samundar

    hotā hai zindagī 'irfān' aa.ine meñ

    alfaz-e-be-sada ka imkan aaine mein

    dekha hai main ne aksar be-jaan aaine mein

    kamre mein raqs karti chalti hain jab hawaen

    kuchh aks bolte hain har aan aaine mein

    hoga kisi ka chehra pahchan ki lagan mein

    hongi kisi ki aankhen hairan aaine mein

    tahzib ka tasallut hai aaine se bahar

    tariKH ke safar ka wijdan aaine mein

    rangon ki barishon se dhundla gaya hai manzar

    aaya hua hai koi tufan aaine mein

    zinda haqiqaton ki hoti hai parda-poshi

    palti hai jab raunat nadan aaine mein

    ho raushni ki zulmat sahra ho ya samundar

    hota hai zindagi ka 'irfan' aaine mein

    Source:

    Ghazal Calendar-2015 (Pg. 25.09.2015)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now