alfaz ki zanjiron mein jakDe hue mafhum
alfāz kī zanjīroñ meñ jakḌe hue mafhūm
afkār meñ marbūt ḳhayālāt haiñ manzūm
is daur-e-pur-āshob ke andāz to dekho
arbāb-e-ḳhirad ahl-e-junūñ donoñ haiñ maġhmūm
ye shahr ye tanhā.ī ye vīrāna-e-tahzīb
me'yār-e-tamaddun kā tasavvur huā mā'dūm
kuchh log pareshāñ the hue aur pareshāñ
aḳhbār kī ḳhabroñ se machī shahr meñ vo dhuum
ye zāviya-e-fikr hai dilchasp siyāsat
sultānī-e-jamhūr meñ kyā ḳhādim-o-maḳhdūm
alfaz ki zanjiron mein jakDe hue mafhum
afkar mein marbut KHayalat hain manzum
is daur-e-pur-ashob ke andaz to dekho
arbab-e-KHirad ahl-e-junun donon hain maghmum
ye shahr ye tanhai ye virana-e-tahzib
me'yar-e-tamaddun ka tasawwur hua ma'dum
kuchh log pareshan the hue aur pareshan
aKHbar ki KHabron se machi shahr mein wo dhum
ye zawiya-e-fikr hai dilchasp siyasat
sultani-e-jamhur mein kya KHadim-o-maKHdum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.