Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

amanat mohtasib ke ghar sharab-e-arghawan rakh di

Saail Dehlvi

amanat mohtasib ke ghar sharab-e-arghawan rakh di

Saail Dehlvi

MORE BYSaail Dehlvi

    amānat mohtasib ke ghar sharāb-e-arġhavāñ rakh

    to ye samjho ki buniyād-e-ḳharābāt-e-muġhāñ rakh

    kahūñ kyā pesh-e-zāhid kyuuñ sharāb-e-arġhavāñ rakh

    mirī taufīq jo kuchh thī barā.e mehmāñ rakh

    yahāñ tak to nibhāyā maiñ ne tark-e-mai-parastī ko

    ki piine ko uThā aur liiñ añgḌā.iyāñ rakh

    janāb-e-shaiḳh mai-ḳhāne meñ baiThe haiñ barahna-sar

    ab un se kaun pūchhe aap ne pagḌī kahāñ rakh

    tumheñ parvā na ho mujh ko to jins-e-dil parvā hai

    kahāñ DhūñDūñ kahāñ pheñkī kahāñ dekhūñ kahāñ rakh

    lagā leñge use ahl-e-vafā be-shubah āñkhoñ se

    agar pā-e-adū par us ne ḳhāk-e-āstāñ rakh

    idhar par noch kar Daalā qafas meñ uf re bedardī

    udhar ik jaltī chingārī miyān-e-āshiyāñ rakh

    zamīr us Dubo degā use āb-e-ḳhajālat meñ

    vafādārī tohmat ġhair par kyuuñ bad-gumāñ rakh

    havas mastī 'sā.il' ko nahīñ kaafī hai thoḌī

    pyāle meñ agar pas-ḳhurda-e-pīr-e-muġhāñ rakh

    amanat mohtasib ke ghar sharab-e-arghawan rakh di

    to ye samjho ki buniyaad-e-KHarabaat-e-mughan rakh di

    kahun kya pesh-e-zahid kyun sharab-e-arghawan rakh di

    meri taufiq jo kuchh thi barae mehman rakh di

    yahan tak to nibhaya main ne tark-e-mai-parasti ko

    ki pine ko uTha li aur lin angDaiyan rakh di

    janab-e-shaiKH mai-KHane mein baiThe hain barahna-sar

    ab un se kaun puchhe aap ne pagDi kahan rakh di

    tumhein parwa na ho mujh ko to jins-e-dil ki parwa hai

    kahan DhunDun kahan phenki kahan dekhun kahan rakh di

    laga lenge use ahl-e-wafa be-shubah aankhon se

    agar pa-e-adu par us ne KHak-e-astan rakh di

    idhar par noch kar Dala qafas mein uf re bedardi

    udhar ek jalti chingari miyan-e-ashiyan rakh di

    zamir us ka Dubo dega use aab-e-KHajalat mein

    wafadari ki tohmat ghair par kyun bad-guman rakh di

    hawas masti ki 'sail' ko nahin kafi hai thoDi si

    pyale mein agar pas-KHurda-e-pir-e-mughan rakh di

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now