Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

amn ke dawe apilen ishtihaar apni jagah

Husain Ahmad Wasif

amn ke dawe apilen ishtihaar apni jagah

Husain Ahmad Wasif

MORE BYHusain Ahmad Wasif

    amn ke da.ave apīleñ ishtihār apnī jagah

    hasb-e-sābiq shahr bhar meñ intishār apnī jagah

    din-ba-din hālāt ruḳh bad se bad-tar taraf

    roz-o-shab achchhe dinoñ intizār apnī jagah

    kaar bañgla kār-ḳhāne mahfileñ hotel sharāb

    ghar ke andar fazā nā-ḳhush-gavār apnī jagah

    maiñ sadāqat alam-bardār bātil-parast

    jiit merī tai-shuda hai terī haar apnī jagah

    ik payāde ne safoñ ko chiir Daalā jis ghaḌī

    muñh takte rah ga.e sab shahsavār apnī jagah

    ham ki rusvā.ī sab se āḳhirī manzil meñ haiñ

    aur musallam apne purkhoñ vaqār apnī jagah

    amn ke dawe apilen ishtihaar apni jagah

    hasb-e-sabiq shahr bhar mein intishaar apni jagah

    din-ba-din haalat ka ruKH bad se bad-tar ki taraf

    roz-o-shab achchhe dinon ka intizar apni jagah

    kar bangla kar-KHane mahfilen hotel sharab

    ghar ke andar ki faza na-KHush-gawar apni jagah

    main sadaqat ka alam-bardar tu baatil-parast

    jit meri tai-shuda hai teri haar apni jagah

    ek payaade ne safon ko chir Dala jis ghaDi

    munh hi takte rah gae sab shahsawar apni jagah

    hum ki ruswai ki sab se aaKHiri manzil mein hain

    aur musallam apne purkhon ka waqar apni jagah

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 343)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now