Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ana jab san chaDhti hai to jazbe kaT deti hai

Qazi Abdur Rauf Anjum

ana jab san chaDhti hai to jazbe kaT deti hai

Qazi Abdur Rauf Anjum

MORE BYQazi Abdur Rauf Anjum

    anā jab saan chaḌhtī hai to jazbe kaaT detī hai

    diloñ meñ jab utar jaatī hai rishte kaaT detī hai

    jalā detī hai ulfat vafā saarī tāmīreñ

    havas aag barsoñ ke taqāze kaaT detī hai

    muqarrir dil-nashīñ lahja bhī apnā.e to kyā kahnā

    zarā baat logoñ ke kaleje kaaT detī hai

    adālat kasauTī par kasā jaatā hai jab mujrim

    qalam ek jumbish saare hiile kaaT detī hai

    hamārā hausla kāmyābī zamānat hai

    nadī chaḌh jaa.e to donoñ kināre kaaT detī hai

    mahārat bhī agar ho jaa.e shāmil jazb-e-sādiq meñ

    to patlī Dor bhī mazbūt dhāge kaaT detī hai

    nahīñ kam-mā.egī kuchh bā.is-e-tahqīr ai 'anjum'

    kanī hiire chaltī hai to shīshe kaaT detī hai

    ana jab san chaDhti hai to jazbe kaT deti hai

    dilon mein jab utar jati hai rishte kaT deti hai

    jala deti hai ulfat ki wafa ki sari tamiren

    hawas ki aag barson ke taqaze kaT deti hai

    muqarrir dil-nashin lahja bhi apnae to kya kahna

    zara si baat logon ke kaleje kaT deti hai

    adalat ki kasauTi par kasa jata hai jab mujrim

    qalam ki ek jumbish sare hile kaT deti hai

    hamara hausla hi kaamyabi ki zamanat hai

    nadi chaDh jae to donon kinare kaT deti hai

    mahaarat bhi agar ho jae shamil jazb-e-sadiq mein

    to patli Dor bhi mazbut dhage kaT deti hai

    nahin kam-maegi kuchh bais-e-tahqir ai 'anjum'

    kani hire ki chalti hai to shishe kaT deti hai

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 150)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now