ana ke dozaKH mein pal raha hun gharaz ke sahra mein jal raha hun
ana ke dozaKH mein pal raha hun gharaz ke sahra mein jal raha hun
Amar Ruhani
MORE BYAmar Ruhani
anā ke dozaḳh meñ pal rahā huuñ ġharaz ke sahrā meñ jal rahā huuñ
ḳhudī kī manzil ko tark kar ke ḳhirad kī rāhoñ pe chal rahā huuñ
koī to ho thaam le jo baḌh kar koī to ho rok le jo aa kar
maiñ zarra zarra bikhar rahā huuñ maiñ qatra qatra pighal rahā huuñ
jo ḳhaak jhaḌne lagī hai merī jo rang utarne lagā badan se
ye ibtidā hai na.e safar kī so keñchulī sī badal rahā huuñ
visāl-e-yārāñ to muḳhtasar thā umīd-e-yārāñ azal se qaa.em
bahak gayā thā maiñ jis nashe meñ usī nashe se sañbhal rahā huuñ
kafālatoñ kā nizām badlā lahū ne rang-e-mizāj badlā
maiñ ajnabī ban ke apne ghar meñ Darā Darā sā Tahal rahā huuñ
na fāsla hai na tīrgī hai na aarzū meñ koī kamī hai
pahuñch gayā huuñ ba-rū-e-manzil qadam qadam par phisal rahā huuñ
bigaḌ rahā hai mirā sarāpā ulajh rahe haiñ ḳhirad ke dhāge
ye irtiqā hai bashar kī qismat so dhīre dhīre badal rahā huuñ
harām kyā hai halāl kyā hai ye lutf-e-kām-o-dahan na jaane
ba-jabr-o-ikrāh chakkhā jis ko ḳhushī ḳhushī vo nigal rahā huuñ
ye zuhd bhī hai qazā-e-'umrī ye zarf bhī hai bas ik libāda
so jis zarūrat ne jaisā chāhā maiñ vaise sāñche meñ Dhal rahā huuñ
naza’ ke 'ālam meñ naam us kā zabāñ se jaarī huā 'amar' kyoñ
chhupā ke rakkhe the 'umr bhar jo vo raaz āḳhir ugal rahā huuñ
ana ke dozaKH mein pal raha hun gharaz ke sahra mein jal raha hun
KHudi ki manzil ko tark kar ke KHirad ki rahon pe chal raha hun
koi to ho tham le jo baDh kar koi to ho rok le jo aa kar
main zarra zarra bikhar raha hun main qatra qatra pighal raha hun
jo KHak jhaDne lagi hai meri jo rang utarne laga badan se
ye ibtida hai nae safar ki so kenchuli si badal raha hun
visal-e-yaran to muKHtasar tha umid-e-yaran azal se qaem
bahak gaya tha main jis nashe mein usi nashe se sanbhal raha hun
kafalaton ka nizam badla lahu ne rang-e-mizaj badla
main ajnabi ban ke apne ghar mein Dara Dara sa Tahal raha hun
na fasla hai na tirgi hai na aarzu mein koi kami hai
pahunch gaya hun ba-ru-e-manzil qadam qadam par phisal raha hun
bigaD raha hai mera sarapa ulajh rahe hain KHirad ke dhage
ye irtiqa hai bashar ki qismat so dhire dhire badal raha hun
haram kya hai halal kya hai ye lutf-e-kaam-o-dahan na jaane
ba-jabr-o-ikrah chakkha jis ko KHushi KHushi wo nigal raha hun
ye zuhd bhi hai qaza-e-'umri ye zarf bhi hai bas ek libaada
so jis zarurat ne jaisa chaha main waise sanche mein Dhal raha hun
naza’ ke 'alam mein nam us ka zaban se jari hua 'amar' kyon
chhupa ke rakkhe the 'umr bhar jo wo raaz aaKHir ugal raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.