Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

andar se dil chaT rahi jo lahje ki maghruri thi

Naheed Azmi

andar se dil chaT rahi jo lahje ki maghruri thi

Naheed Azmi

MORE BYNaheed Azmi

    andar se dil chaaT rahī jo lahje maġhrūrī thī

    achchhī tarah tum jaan ga.e ho ishq mirī majbūrī thī

    ham ne tum se ishq kiyā aur ishq bhī puurī shiddat se

    ye aadhā iz.hār hamārā lafzoñ māzūrī thī

    chaar dinoñ meñ saat janam ko jiine vaale suntā

    saat janam saath hamārā chaar dinoñ duurī thī

    bhuul aa.ī huuñ jitne lamhe ai shab-e-hijrāñ vāpas de

    vasl ḳhvāhish karnā merī sach meñ ik majbūrī thī

    apnā honā chhoḌ aa.ī huuñ maiñ us ke darvāze par

    utnī baat batā kar palTī jitnī baat zarūrī thī

    andar se dil chaT rahi jo lahje ki maghruri thi

    achchhi tarah tum jaan gae ho ishq meri majburi thi

    hum ne tum se ishq kiya aur ishq bhi puri shiddat se

    ye aadha izhaar hamara lafzon ki mazuri thi

    chaar dinon mein sat janam ko jine wale sunta ja

    sat janam ka sath hamara chaar dinon ki duri thi

    bhul aai hun jitne lamhe ai shab-e-hijran wapas de

    wasl ki KHwahish karna meri sach mein ek majburi thi

    apna hona chhoD aai hun main us ke darwaze par

    utni baat bata kar palTi jitni baat zaruri thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now