andar se TuTi-phuTi hun
andar se TūTī-phūTī huuñ
uupar se hañs bol rahī huuñ
ik āseboñ vaale ghar meñ
sapne rakh kar bhuul ga.ī huuñ
is ḳhālī hotī bastī meñ
kis kā rasta dekh rahī huuñ
jaltī-bujhtī āñkheñ le kar
kis kī aartī ko niklī huuñ
miirā maañ maiñ vo bairāgan
daan meñ aañsū hī paatī huuñ
andar se TuTi-phuTi hun
upar se hans bol rahi hun
ek aasebon wale ghar mein
sapne rakh kar bhul gai hun
is KHali hoti basti mein
kis ka rasta dekh rahi hun
jalti-bujhti aankhen le kar
kis ki aarti ko nikli hun
mera man main wo bairagan
dan mein aansu hi pati hun
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 33)
- Author : Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.