Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

andhera dur karne ka tariqa sochna hoga

Rahib Maitreya

andhera dur karne ka tariqa sochna hoga

Rahib Maitreya

MORE BYRahib Maitreya

    añdherā duur karne tarīqa sochnā hogā

    ujāle ke liye koī darīcha kholnā hogā

    ham aksar hādse ke baa'd sargarm hote haiñ

    hameñ ab hādisa hone se pahle roknā hogā

    use parvāh hai aa.iin hai hukūmat

    hamārī ‘adliya ko baiTh kar ye sochnā hogā

    nahīñ aa.egā koī dūsrā ham ko bachāne ab

    hamāre mas.aloñ par ham ko ḳhud bolnā hogā

    hamārī zindagī rāstā bhī gol hai shāyad

    jahāñ se aa.e the vāpas vahīñ par lauTnā hogā

    andhera dur karne ka tariqa sochna hoga

    ujale ke liye koi daricha kholna hoga

    hum aksar hadse ke ba'd hi sargarm hote hain

    hamein ab hadisa hone se pahle rokna hoga

    use parwah hai aain ki ya hai hukumat ki

    hamari ‘adliya ko baiTh kar ye sochna hoga

    nahin aaega koi dusra hum ko bachane ab

    hamare masalon par hum ko KHud hi bolna hoga

    hamari zindagi ka rasta bhi gol hai shayad

    jahan se aae the wapas wahin par lauTna hoga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now