andhere ko jo yahan munh ki khani paDti hai
añdhere ko jo yahāñ muñh kī khānī paḌtī hai
diyoñ ko us kī bhī qīmat chukānī paḌtī hai
irāda jiit kā rakhne se kuchh nahīñ hotā
hadaf pe apne nazar bhī jamānī paḌtī hai
bahār ho ki ḳhizāñ yā koī bhī mausam ho
guloñ ko saakh bhī apnī bachānī paḌtī hai
bas apne ghar ko hī ik ghar banā.e rakhne ko
ḳhud apnī hastī kī buniyād Dhānī paḌtī hai
andhere ko jo yahan munh ki khani paDti hai
diyon ko us ki bhi qimat chukani paDti hai
irada jit ka rakhne se kuchh nahin hota
hadaf pe apne nazar bhi jamani paDti hai
bahaar ho ki KHizan ya koi bhi mausam ho
gulon ko sakh bhi apni bachani paDti hai
bas apne ghar ko hi ek ghar banae rakhne ko
KHud apni hasti ki buniyaad Dhani paDti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.