andheron ki hukumat ko miTa kar apne ghar aaya
añdheroñ kī hukūmat ko miTā kar apne ghar aayā
savere jaise hī āñkheñ khulī sūraj nazar aayā
gayā mathurā banaras aur ka.aba har jagah lekin
milā dil ko sukūñ jab lauT kar maiñ apne ghar aayā
paḌī hai maar jab se vaqt kī Darne lagā huuñ maiñ
chaḌhā thā jo javānī kā nasha pal meñ utar aayā
ka.ī kāñTe bichhā.e dostoñ ne raah meñ merī
unheñ chun kar unhīñ rāhoñ se maiñ sābit guzar aayā
akelā laḌ rahā huuñ zindagī kī jañg bachpan se
balā kī bhiiḌ hai koī nahīñ apnā nazar aayā
gharoñ meñ qaid ho kar rah ga.ī hai zindagī sab kī
zamāne kī fazā meñ dost kaisā ye asar aayā
zamāne vaale to kahte raheñge kahne do in ko
hamesha maare haiñ patthar nazar jo bhī shajar aayā
duāoñ kā asar hai mere purkhoñ kī ye 'indorī'
hamesha dushmanoñ ke ghar meñ un ke par katar aayā
andheron ki hukumat ko miTa kar apne ghar aaya
sawere jaise hi aankhen khuli suraj nazar aaya
gaya mathura banaras aur kaba har jagah lekin
mila dil ko sukun jab lauT kar main apne ghar aaya
paDi hai mar jab se waqt ki Darne laga hun main
chaDha tha jo jawani ka nasha pal mein utar aaya
kai kanTe bichhae doston ne rah mein meri
unhen chun kar unhin rahon se main sabit guzar aaya
akela laD raha hun zindagi ki jang bachpan se
bala ki bhiD hai koi nahin apna nazar aaya
gharon mein qaid ho kar rah gai hai zindagi sab ki
zamane ki faza mein dost kaisa ye asar aaya
zamane wale to kahte rahenge kahne do in ko
hamesha mare hain patthar nazar jo bhi shajar aaya
duaon ka asar hai mere purkhon ki ye 'indori'
hamesha dushmanon ke ghar mein un ke par katar aaya
- Book : Scan File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.