Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

andoh ke mare insan ko har lamha giran ho jata hai

Zubair Ahmad Hilal

andoh ke mare insan ko har lamha giran ho jata hai

Zubair Ahmad Hilal

MORE BYZubair Ahmad Hilal

    andoh ke maare insāñ ko har lamha girāñ ho jaatā hai

    jab Tiis jigar meñ uThtī hai tārīk jahāñ ho jaatā hai

    ġhamnāk fazā meñ rakkhī thī buniyād-e-nasheman jab ham ne

    ab bād-e-sahar ke chalne par tūfāñ gumāñ ho jaatā hai

    ye rāh-e-amal hai ai ham-dam dushvārī-e-manzil kyā ma.anī

    ḳhāmosh jo ho kar baiTh gayā ġham us nishāñ ho jaatā hai

    ye baat bhī ab tak ahl-e-chaman mahsūs nahīñ kar paa.e haiñ

    jab koī nasheman jaltā hai gulshan meñ dhuāñ ho jaatā hai

    ye zabt-e-alam me.arāj sahī pastī se guzarne vāloñ

    mahkūmī hadd-e-fāsil par har zaḳhm zabāñ ho jaatā hai

    sayyād qafas ke roz-o-shab pur-kaif sahī lekin aksar

    parvāz ke qisse chhiḌte dil mahv-e-fuġhāñ ho jaatā hai

    hañsne meñ ashk ravāñ honā ye lutf-o-karam un hai 'hilāl'

    ehsās ke ā.īne meñ magar har zaḳhm zabāñ ho jaatā hai

    andoh ke mare insan ko har lamha giran ho jata hai

    jab Tis jigar mein uThti hai tarik jahan ho jata hai

    ghamnak faza mein rakkhi thi buniyaad-e-nasheman jab hum ne

    ab baad-e-sahar ke chalne par tufan ka guman ho jata hai

    ye rah-e-amal hai ai ham-dam dushwari-e-manzil kya mani

    KHamosh jo ho kar baiTh gaya gham us ka nishan ho jata hai

    ye baat bhi ab tak ahl-e-chaman mahsus nahin kar pae hain

    jab koi nasheman jalta hai gulshan mein dhuan ho jata hai

    ye zabt-e-alam mearaj sahi pasti se guzarne walon ki

    mahkumi ki hadd-e-fasil par har zaKHm zaban ho jata hai

    sayyaad qafas ke roz-o-shab pur-kaif sahi lekin aksar

    parwaz ke qisse chhiDte hi dil mahw-e-fughan ho jata hai

    hansne mein ashk rawan hona ye lutf-o-karam un ka hai 'hilal'

    ehsas ke aaine mein magar har zaKHm zaban ho jata hai

    Source:

    Aena-e-Ahsas (Pg. 48)

    • Author: Zubair Ahmad Hilal
      • Publisher: Zubair Ahmad Hilal
      • Year of Publication: 1995
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now