Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

anjam-e-wafa bhi dekh liya ab kis liye sar KHam hota hai

Iqbal Sohail

anjam-e-wafa bhi dekh liya ab kis liye sar KHam hota hai

Iqbal Sohail

MORE BYIqbal Sohail

    anjām-e-vafā bhī dekh liyā ab kis liye sar ḳham hotā hai

    nāzuk hai mizāj-e-husn bahut sajde se bhī barham hotā hai

    mil-jul ke ba-rañg-e-rañg-e-shīr-o-shakar donoñ ke nikharte haiñ jauhar

    dariyāoñ ke sañgam se baḌh kar tahzīb sañgam hotā hai

    kuchh mā-o-shumā meñ farq nahīñ kuchh shāh-o-gadā meñ bhed nahīñ

    ham bāda-kashoñ mahfil meñ har jaam ba-kaf jam hotā hai

    dīvānoñ ke jubba-o-dāman uḌtā hai fazā meñ jo TukḌā

    mustaqbil-e-millat ke haq meñ iqbāl parcham hotā hai

    mansūr jo hotā ahl-e-nazar to da.avā-e-bātil kyuuñ kartā

    us to zabāñ khultī nahīñ jo raaz mahram hotā hai

    tā-chand 'suhail' afsurda-e-ġham kyā yaad nahīñ tārīḳh-e-haram

    īmāñ ke jahāñ paḌte haiñ qadam paidā vahīñ zamzam hotā hai

    anjam-e-wafa bhi dekh liya ab kis liye sar KHam hota hai

    nazuk hai mizaj-e-husn bahut sajde se bhi barham hota hai

    mil-jul ke ba-rang-e-rang-e-shir-o-shakar donon ke nikharte hain jauhar

    dariyaon ke sangam se baDh kar tahzib ka sangam hota hai

    kuchh ma-o-shuma mein farq nahin kuchh shah-o-gada mein bhed nahin

    hum baada-kashon ki mahfil mein har jam ba-kaf jam hota hai

    diwanon ke jubba-o-daman ka uDta hai faza mein jo TukDa

    mustaqbil-e-millat ke haq mein iqbaal ka parcham hota hai

    mansur jo hota ahl-e-nazar to dawa-e-baatil kyun karta

    us ki to zaban khulti hi nahin jo raaz ka mahram hota hai

    ta-chand 'suhail' afsurda-e-gham kya yaad nahin tariKH-e-haram

    iman ke jahan paDte hain qadam paida wahin zamzam hota hai

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 54)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now