Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

anjaan bastiyon ka pata puchhta hun main

Rasheed Afroz

anjaan bastiyon ka pata puchhta hun main

Rasheed Afroz

MORE BYRasheed Afroz

    anjān bastiyoñ patā pūchhtā huuñ maiñ

    ye kis justujū hai kise DhūñDhtā huuñ maiñ

    jab mere dil se duur mirā ham-nafas nahīñ

    saare jahāñ ḳhaak abas chhāntā huuñ maiñ

    kyā jabr thā ki sab zabāñ guñg ho ga.ī

    kyā jurm thā ki jis sazā chāhtā huuñ maiñ

    pahle to maiñ bhī hañs ke use Tāltā rahā

    ab dil jo kah rahā hai vahī māntā huuñ maiñ

    ye fāsla to sirf nazar fareb hai

    ham kis qadar qarīb haiñ ye jāntā huuñ maiñ

    manzil to sirf naam hai pahchān ke liye

    jis tumheñ talāsh hai vo rāsta huuñ maiñ

    anjaan bastiyon ka pata puchhta hun main

    ye kis ki justuju hai kise DhunDhta hun main

    jab mere dil se dur mera ham-nafas nahin

    sare jahan ki KHak abas chhanta hun main

    kya jabr tha ki sab ki zaban gung ho gai

    kya jurm tha ki jis ki saza chahta hun main

    pahle to main bhi hans ke use Talta raha

    ab dil jo kah raha hai wahi manta hun main

    ye fasla to sirf nazar ka fareb hai

    hum kis qadar qarib hain ye jaanta hun main

    manzil to sirf nam hai pahchan ke liye

    jis ki tumhein talash hai wo rasta hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now