Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

anjaane KHwab ki KHatir kyun chain ganwaya

Anjum Ansari

anjaane KHwab ki KHatir kyun chain ganwaya

Anjum Ansari

MORE BYAnjum Ansari

    anjāne ḳhvāb ḳhātir kyuuñ chain gañvāyā

    kab vaqt panchhī Therā kab saaya haath meñ aayā

    ik nuur chādar simTī be-jān fazā dhundlā.ī

    ghar aa.e ghanere bādal chāñd gahan meñ aayā

    āñkhoñ se nashīlī shab dhotī rahī shabnam kājal

    har samt syāhī phailī har samt añdherā chhāyā

    jo baat laboñ par aa.ī vo baat banī afsāna

    ik giit ko is duniyā ne kitnī dhunoñ meñ gaayā

    dil dard se bhar bhar aayā palkoñ pe na chamke aañsū

    āñkhoñ ne samundar bhar ke qatre ke liye tarsāyā

    aise bhī zamāne guzre din soyā rāteñ jāgīñ

    ehsās rañgīñ āñchal sannāToñ meñ lahrāyā

    ḳhushiyoñ ko to chhoḌā ham ne ik khel samajh kar 'anjum'

    jis ġham ko rag-e-jāñ samjhā us ġham ne hameñ Thukrāyā

    anjaane KHwab ki KHatir kyun chain ganwaya

    kab waqt ka panchhi Thera kab saya hath mein aaya

    ek nur ki chadar simTi be-jaan faza dhundlai

    ghar aae ghanere baadal ya chand gahan mein aaya

    aankhon se nashili shab ki dhoti rahi shabnam kajal

    har samt syahi phaili har samt andhera chhaya

    jo baat labon par aai wo baat bani afsana

    ek git ko is duniya ne kitni hi dhunon mein gaya

    dil dard se bhar bhar aaya palkon pe na chamke aansu

    aankhon ne samundar bhar ke qatre ke liye tarsaya

    aise bhi zamane guzre din soya raaten jagin

    ehsas ka rangin aanchal sannaTon mein lahraya

    KHushiyon ko to chhoDa hum ne ek khel samajh kar 'anjum'

    jis gham ko rag-e-jaan samjha us gham ne hamein Thukraya

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 753)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now