anjuman mein unki dil par iKHtiyar aasan nahin
anjuman meñ un kī dil par iḳhtiyār āsāñ nahīñ
mushkiloñ kā merī kar lenā shumār āsāñ nahīñ
har nafas hai ek sharh-e-dard-hā-e-ārzū
dāstān-e-zindagī kā iḳhtisār āsāñ nahīñ
ātishīñ aahoñ ke tinkoñ se banā hai āshiyāñ
ḳhaak karnā is ko barq-e-sho'la-bār āsāñ nahīñ
tauba kartā mai-kade meñ baiTh kar mumkin magar
tauba pahlū meñ tire jān-e-bahār āsāñ nahīñ
kyoñ na iksīr-e-mohabbat dahr meñ nāyāb ho
dil kā honā terī ḳhāk-e-rahguzar āsāñ nahīñ
ho ga.iiñ nākāmiyāñ ġhārat-gar-e-duniyā-e-yās
maut se bhī ab to honā ham-kinār āsāñ nahīñ
ḳhaak chhāno ab 'nazar' dasht-e-junūn-e-'ishq kī
husn kī duniyā meñ rahnā hoshiyār āsāñ nahīñ
anjuman mein un ki dil par iKHtiyar aasan nahin
mushkilon ka meri kar lena shumar aasan nahin
har nafas hai ek sharh-e-dard-ha-e-arzu
dastan-e-zindagi ka iKHtisar aasan nahin
aatishin aahon ke tinkon se bana hai aashiyan
KHak karna is ko barq-e-sho'la-bar aasan nahin
tauba karta mai-kade mein baiTh kar mumkin magar
tauba pahlu mein tere jaan-e-bahaar aasan nahin
kyon na iksir-e-mohabbat dahr mein nayab ho
dil ka hona teri KHak-e-rahguzar aasan nahin
ho gain nakaamiyan ghaarat-gar-e-duniya-e-yas
maut se bhi ab to hona ham-kinar aasan nahin
KHak chhano ab 'nazar' dasht-e-junun-e-'ishq ki
husn ki duniya mein rahna hoshiyar aasan nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.