apna dukh kaise jatlayen
apnā dukh kaise jatlāyeñ
naqlī chehra kaise dikhā.eñ
lams-e-havā se jī bahlā.eñ
un kā kyā hai aa.eñ na aa.eñ
tujh se apnī yaarī chhūTī
biite dinoñ kā jashn manā.eñ
ujle badan kī baat hī kuchh thī
kāġhaz par kyā muhr lagā.eñ
dair-o-haram meñ sannāTā hai
aur kahāñ āvāz lagā.eñ
din to coffē-home meñ guzrā
raat huī kis ke ghar jaa.eñ
itnā vaqt kahāñ ab 'māhir'
koī nayā mahbūb banā.eñ
apna dukh kaise jatlayen
naqli chehra kaise dikhaen
lams-e-hawa se ji bahlaen
un ka kya hai aaen na aaen
tujh se apni yari chhuTi
bite dinon ka jashn manaen
ujle badan ki baat hi kuchh thi
kaghaz par kya muhr lagaen
dair-o-haram mein sannaTa hai
aur kahan aawaz lagaen
din to coffee-home mein guzra
raat hui kis ke ghar jaen
itna waqt kahan ab 'mahir'
koi naya mahbub banaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.