Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apna pata na apni KHabar chhoD jaunga

Krishn Bihari Noor

apna pata na apni KHabar chhoD jaunga

Krishn Bihari Noor

MORE BYKrishn Bihari Noor

    apnā pata na apnī ḳhabar chhoḌ jā.ūñgā

    be-samtiyoñ gard-e-safar chhoḌ jā.ūñgā

    tujh se agar bichhaḌ bhī gayā maiñ to yaad rakh

    chehre pe tere apnī nazar chhoḌ jā.ūñgā

    ġham dūriyoñ duur na ho pā.egā kabhī

    vo apnī qurbatoñ asar chhoḌ jā.ūñgā

    guzregī raat raat mire ḳhayāl meñ

    tere liye maiñ sirf sahar chhoḌ jā.ūñgā

    jaise ki sham.a-dān meñ bujh jaa.e koī sham.a

    bas yuuñ apne jism ghar chhoḌ jā.ūñgā

    maiñ tujh ko jiit kar bhī kahāñ jiit pā.ūñgā

    lekin mohabbatoñ hunar chhoḌ jā.ūñgā

    aañsū mileñge mere na phir tere qahqahe

    suunī har ek rāhguzar chhoḌ jā.ūñgā

    sansār meñ akelā tujhe agle janm tak

    hai chhoḌnā muhāl magar chhoḌ jā.ūñgā

    us paar sakeñgī to yādeñ jā.eñgī

    jo kuchh idhar milā hai udhar chhoḌ jā.ūñgā

    ġham hogā sab ko aur judā hogā sab ġham

    kyā jaane kitne dīda-e-tar chhoḌ jā.ūñgā

    bas tum sakoge kuredoge tum agar

    maiñ apnī raakh meñ bhī sharar chhoḌ jā.ūñgā

    kuchh der ko nigāh Thahar jā.egī zarūr

    afsāne meñ ik aisā khañDar chhoḌ jā.ūñgā

    koī ḳhayāl tak bhī na chhū pā.egā mujhe

    ye chāroñ samt āThoñ pahar chhoḌ jā.ūñgā

    apna pata na apni KHabar chhoD jaunga

    be-samtiyon ki gard-e-safar chhoD jaunga

    tujh se agar bichhaD bhi gaya main to yaad rakh

    chehre pe tere apni nazar chhoD jaunga

    gham duriyon ka dur na ho paega kabhi

    wo apni qurbaton ka asar chhoD jaunga

    guzregi raat raat mere hi KHayal mein

    tere liye main sirf sahar chhoD jaunga

    jaise ki shama-dan mein bujh jae koi shama

    bas yun hi apne jism ka ghar chhoD jaunga

    main tujh ko jit kar bhi kahan jit paunga

    lekin mohabbaton ka hunar chhoD jaunga

    aansu milenge mere na phir tere qahqahe

    suni har ek rahguzar chhoD jaunga

    sansar mein akela tujhe agle janm tak

    hai chhoDna muhaal magar chhoD jaunga

    us par ja sakengi to yaaden hi jaengi

    jo kuchh idhar mila hai udhar chhoD jaunga

    gham hoga sab ko aur juda hoga sab ka gham

    kya jaane kitne dida-e-tar chhoD jaunga

    bas tum hi pa sakoge kuredoge tum agar

    main apni rakh mein bhi sharar chhoD jaunga

    kuchh der ko nigah Thahar jaegi zarur

    afsane mein ek aisa khanDar chhoD jaunga

    koi KHayal tak bhi na chhu paega mujhe

    ye chaaron samt aaThon pahar chhoD jaunga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now