apnao koi rahguzar soch samajh kar
apnāo koī rāhguzar soch samajh kar
lāzim hai kiyā jaa.e safar soch samajh kar
hote nahīñ har baat pe nārāz rafīqo
kartā nahīñ har baat bashar soch samajh kar
vo aa.e hue hoñ to guzāra nahīñ karte
ham roz-o-shab o shām-o-sahar soch samajh kar
insān ke hāthoñ meñ hai anjām 'amal kā
āġhāz kiyā jaa.e agar soch samajh kar
tū aur 'sha'ūr' apne sitāroñ kī shikāyat
ilzām hī dharnā hai to dhar soch samajh kar
apnao koi rahguzar soch samajh kar
lazim hai kiya jae safar soch samajh kar
hote nahin har baat pe naraaz rafiqo
karta nahin har baat bashar soch samajh kar
wo aae hue hon to guzara nahin karte
hum roz-o-shab o sham-o-sahar soch samajh kar
insan ke hathon mein hai anjam 'amal ka
aaghaz kiya jae agar soch samajh kar
tu aur 'sha'ur' apne sitaron ki shikayat
ilzam hi dharna hai to dhar soch samajh kar
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 84)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.