Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne aap se bhi duniya mein begana ban jata hai

Tufail Hoshiarpuri

apne aap se bhi duniya mein begana ban jata hai

Tufail Hoshiarpuri

MORE BYTufail Hoshiarpuri

    apne aap se bhī duniyā meñ begāna ban jaatā hai

    tum jis ko dīvāna kah do dīvāna ban jaatā hai

    dil aanā ek qayāmat jitne muñh utnī bāteñ

    hotī hai ik baat zarā afsāna ban jaatā hai

    jām-o-subū qaid nahīñ hai pīr-e-muġhāñ shart nahīñ

    rind jahāñ sāġhar chhalkā deñ mai-ḳhāna ban jaatā hai

    ishq bhī anjām vahī hai husn bhī anjām vahī

    jalte jalte sham.a dil bhī parvāna ban jaatā hai

    jis gulshan par paḌ jaatā hai partav aap āñkhoñ

    us gulshan ġhuncha ġhuncha paimāna ban jaatā hai

    bhūlī-bisrī yādoñ ke yuuñ naqsh ubharte rahte haiñ

    ka.aba in tasvīroñ se but-ḳhāna ban jaatā hai

    dil raaz chhupā letā hai ḳhāmoshī ke parde meñ

    had se guzar kar dīvāna bhī farzāna ban jaatā hai

    ḳhūn-e-jigar se rangīñ ho kar jo palkoñ tak aa jaa.e

    vo aañsū darbār-e-vafā meñ nazrāna ban jaatā hai

    sahrā gulshan ban jaate haiñ dil ho agar ābād 'tufail'

    dil ujḌe to gulshan gulshan vīrāna ban jaatā hai

    apne aap se bhi duniya mein begana ban jata hai

    tum jis ko diwana kah do diwana ban jata hai

    dil ka aana ek qayamat jitne munh utni baaten

    hoti hai ek baat zara si afsana ban jata hai

    jam-o-subu ki qaid nahin hai pir-e-mughan ki shart nahin

    rind jahan saghar chhalka den mai-KHana ban jata hai

    ishq ka bhi anjam wahi hai husn ka bhi anjam wahi

    jalte jalte shama ka dil bhi parwana ban jata hai

    jis gulshan par paD jata hai partaw aap ki aankhon ka

    us gulshan ka ghuncha ghuncha paimana ban jata hai

    bhuli-bisri yaadon ke yun naqsh ubharte rahte hain

    kaba in taswiron se hi but-KHana ban jata hai

    dil ka raaz chhupa leta hai KHamoshi ke parde mein

    had se guzar kar diwana bhi farzana ban jata hai

    KHun-e-jigar se rangin ho kar jo palkon tak aa jae

    wo aansu darbar-e-wafa mein nazrana ban jata hai

    sahra gulshan ban jate hain dil ho agar aabaad 'tufail'

    dil ujDe to gulshan gulshan virana ban jata hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now