Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne andar bhi ham-nawai nahin

Abid Wadood

apne andar bhi ham-nawai nahin

Abid Wadood

MORE BYAbid Wadood

    apne andar bhī ham-navā.ī nahīñ

    aql ruuh tak rasā.ī nahīñ

    saudā-bāzī agar na ho is meñ

    nekī karne meñ kuchh burā.ī nahīñ

    har adā se adā nikaltī hai

    itnī āsān āshnā.ī nahīñ

    ham se qaa.em hai tere husn shaan

    ye mirī jaan! ḳhud-satā.ī nahīñ

    kitnā tanhā huuñ dasht-e-ġhurbat meñ

    merā bhaa.ī bhī merā bhaa.ī nahīñ

    kisī unvān se kabhī 'ābid'

    zindagī ham ko raas aa.ī nahīñ

    apne andar bhi ham-nawai nahin

    aql ki ruh tak rasai nahin

    sauda-bazi agar na ho is mein

    neki karne mein kuchh burai nahin

    har ada se ada nikalti hai

    itni aasan aashnai nahin

    hum se qaem hai tere husn ki shan

    ye meri jaan! KHud-satai nahin

    kitna tanha hun dasht-e-ghurbat mein

    mera bhai bhi mera bhai nahin

    kisi unwan se kabhi 'abid'

    zindagi hum ko ras aai nahin

    Source :
    • Book : Funoon (Monthly) (Pg. 408)
    • Author : Ahmad Nadeem Qasmi
    • Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
    • Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now