Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne andar ki jo hairani se bahar aate

Yawar Husain

apne andar ki jo hairani se bahar aate

Yawar Husain

MORE BYYawar Husain

    apne andar jo hairānī se bāhar aate

    roz-marra pareshānī se bāhar aate

    jīte-jī toḌte kis tarah tilism-e-vahshat

    kaise is ġhūl-e-bayābānī se bāhar aate

    ḳhud pe kyā aur bhī khulne tamannā karte

    ya.anī ham aur bhī uryānī se bāhar aate

    toḌte ek tiilī qafas-e-hijr ham

    ek halqa-e-zindānī se bāhar aate

    naḳhl-e-iz.hār ham bunte kabhī sabz qabā

    ik na.ī sūrat-e-imkānī se bāhar aate

    muntazir kaun thā shahr-e-tarab jis ke liye

    ham kabhī dasht vīrānī se bāhar aate

    kaun se goshe meñ phir miltā sukūñ 'yāvar' ko

    vo agar terī nigahbānī se bāhar aate

    apne andar ki jo hairani se bahar aate

    roz-marra ki pareshani se bahar aate

    jite-ji toDte kis tarah tilism-e-wahshat

    kaise is ghul-e-bayabani se bahar aate

    KHud pe kya aur bhi khulne ki tamanna karte

    yani hum aur bhi uryani se bahar aate

    toDte ek hi tili qafas-e-hijr ki hum

    ek hi halqa-e-zindani se bahar aate

    naKHl-e-izhaar ki hum bunte kabhi sabz qaba

    ek nai surat-e-imkani se bahar aate

    muntazir kaun sa tha shahr-e-tarab jis ke liye

    hum kabhi dasht ki virani se bahar aate

    kaun se goshe mein phir milta sukun 'yawar' ko

    wo agar teri nigahbani se bahar aate

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now