Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne ashkon ki ye barsat kise pesh karun

Nazar Barni

apne ashkon ki ye barsat kise pesh karun

Nazar Barni

MORE BYNazar Barni

    apne ashkoñ ye barsāt kise pesh karūñ

    shab-e-furqat ye sauġhāt kise pesh karūñ

    ġham-e-daurāñ shikāyat ġham-e-jānāñ gilā

    uf ye pechīda ḳhayālāt kise pesh karūñ

    kaun pūchhegā mire hāl-e-fasurda mizāj

    ġham-e-daurāñ hikāyāt kise pesh karūñ

    ziist ko talḳh banāte haiñ jo har-dam merī

    uljhe uljhe vo savālāt kise pesh karūñ

    muntashir ho gayā shīrāza-e-ulfat afsos

    dil ke bikhre hue zarrāt kise pesh karūñ

    ġham tash.hīr se ho jaatī hai tauhīn-e-vafā

    is aziyyat ke hisābāt kise pesh karūñ

    chun ke ash.ār ġhazal ke maiñ sunā.ūñ kis ko

    dil se umDe hue naġhmāt kise pesh karūñ

    aaj bhī vo to nazar aate haiñ mā.il-ba-sitam

    aur phir shauq ke jazbāt kise pesh karūñ

    apne ashkon ki ye barsat kise pesh karun

    shab-e-furqat ki ye saughat kise pesh karun

    gham-e-dauran ki shikayat gham-e-jaanan ka gila

    uf ye pechida KHayalat kise pesh karun

    kaun puchhega mere haal-e-fasurda ka mizaj

    gham-e-dauran ki hikayat kise pesh karun

    zist ko talKH banate hain jo har-dam meri

    uljhe uljhe wo sawalat kise pesh karun

    muntashir ho gaya shiraaza-e-ulfat afsos

    dil ke bikhre hue zarraat kise pesh karun

    gham ki tashhir se ho jati hai tauhin-e-wafa

    is aziyyat ke hisabaat kise pesh karun

    chun ke ashaar ghazal ke main sunaun kis ko

    dil se umDe hue naghmat kise pesh karun

    aaj bhi wo to nazar aate hain mail-ba-sitam

    aur phir shauq ke jazbaat kise pesh karun

    Source:

    Mata-e-Nazar (Pg. 77)

    • Author: Nazar Barni
      • Edition: 1969
      • Publisher: Maktaba Naaz-e-Baran, Jamia Nagar, New Delhi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now