Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne bare mein wo gar puchh len phir kya kahiye

Ustad Vajahat Husain Khan

apne bare mein wo gar puchh len phir kya kahiye

Ustad Vajahat Husain Khan

MORE BYUstad Vajahat Husain Khan

    apne baare meñ vo gar pūchh leñ phir kyā kahiye

    barmalā jān-e-jigar jān-e-tamannā kahiye

    us jādū-bharī āñkheñ haiñ ki do paimāne

    hāsil-e-zīst use husn-e-sarāpā kahiye

    laakh maiñ nīchī nigāheñ rakhūñ kyā hotā hai

    vo agar ḳhud ko numāyāñ kareñ phir kyā kahiye

    jis ke dekhe se mire dil ko sukūñ miltā hai

    aise insāñ ko ghane peḌ saayā kahiye

    vo ki har baat pe kahte haiñ mujhe kyā hai

    aise andāz-e-takallum ko bhalā kyā kahiye

    'asr-e-hāzir meñ to sach kahne se Dar lagtā hai

    farsh ko 'arsh qātil ko masīhā kahiye

    jis guftār lahje meñ kashish hai 'dā.em'

    us har ek adā aañkh dhokā kahiye

    apne bare mein wo gar puchh len phir kya kahiye

    barmala jaan-e-jigar jaan-e-tamanna kahiye

    us ki jadu-bhari aankhen hain ki do paimane

    hasil-e-zist use husn-e-sarapa kahiye

    lakh main nichi nigahen rakhun kya hota hai

    wo agar KHud ko numayan karen phir kya kahiye

    jis ke dekhe se mere dil ko sukun milta hai

    aise insan ko ghane peD ka saya kahiye

    wo ki har baat pe kahte hain mujhe tu kya hai

    aise andaz-e-takallum ko bhala kya kahiye

    'asr-e-hazir mein to sach kahne se Dar lagta hai

    farsh ko 'arsh ya qatil ko masiha kahiye

    jis ki guftar ya lahje mein kashish hai 'daem'

    us ki har ek ada aankh ka dhoka kahiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now