apne dil mein jagah bana li hai
apne dil meñ jagah banā lī hai
ek duniyā na.ī basā lī hai
shāhzādī ne 'ishq meñ kho kar
baaġh meñ jhoñpḌī banā lī hai
apnī sāñseñ bhī dī haiñ badle meñ
kaun sī muft meñ havā lī hai
ab to sahrā meñ bas bache haiñ ham
ḳhaak jitnī bhī thī uḌā lī hai
kaam kī baat bhuul jaate haiñ
aap ne kaun sī davā lī hai
tum ne jo dil kī baat kī thī nā
ham ne vo ruuh se lagā lī hai
ab hamārī ġhazal mukammal hai
ham ne kal shab unheñ sunā lī hai
apne dil mein jagah bana li hai
ek duniya nai basa li hai
shahzadi ne 'ishq mein kho kar
bagh mein jhonpDi bana li hai
apni sansen bhi di hain badle mein
kaun si muft mein hawa li hai
ab to sahra mein bas bache hain hum
KHak jitni bhi thi uDa li hai
kaam ki baat bhul jate hain
aap ne kaun si dawa li hai
tum ne jo dil ki baat ki thi na
hum ne wo ruh se laga li hai
ab hamari ghazal mukammal hai
hum ne kal shab unhen suna li hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.