Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne ghar se to chala tha main shikayat le kar

Anwar Kaifi

apne ghar se to chala tha main shikayat le kar

Anwar Kaifi

MORE BYAnwar Kaifi

    apne ghar se to chalā thā maiñ shikāyat le kar

    us ke ghar pahuñchā magar us mohabbat le kar

    ek ehsās-e-junūñ mujh ko liye jaatā hai

    lauT aa.egā na.ī phir koī vahshat le kar

    hijr kahte haiñ kise ye mujhe ma.alūm nahīñ

    kyā karūñgā maiñ tujhe ai shab-e-furqat le kar

    dil meñ rahtā hai koī jazba-e-sādiq tarah

    koī aa.e to dikhāve mohabbat le kar

    merā ghar hai ki farishtoñ koī maskan hai

    kyā karūñgā maiñ kisī aur jannat le kar

    apne ghar se to chala tha main shikayat le kar

    us ke ghar pahuncha magar us ki mohabbat le kar

    ek ehsas-e-junun mujh ko liye jata hai

    lauT aaega nai phir koi wahshat le kar

    hijr kahte hain kise ye mujhe malum nahin

    kya karunga main tujhe ai shab-e-furqat le kar

    dil mein rahta hai koi jazba-e-sadiq ki tarah

    koi aae to dikhawe ki mohabbat le kar

    mera ghar hai ki farishton ka koi maskan hai

    kya karunga main kisi aur ki jannat le kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now