Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne haalat ki un tak na KHabar jaane de

Shauq Jalandhari

apne haalat ki un tak na KHabar jaane de

Shauq Jalandhari

MORE BYShauq Jalandhari

    apne hālāt un tak na ḳhabar jaane de

    ab to jo dil pe guzartī hai guzar jaane de

    zindagī ne mujhe chain se jiine na diyā

    ab jo ārām se martā huuñ to mar jaane de

    tujh pe ho jā.egā ik roz masīhā karam

    dard ko zabt manzil se guzar jaane de

    daur-e-hāzir vo mansūr bhī ban jā.egā

    jazba-e-dār zarā aur nikhar jaane de

    ye ta.assub havā.eñ ye adāvat ġhubār

    aise tūfāñ ko dabe paañv guzar jaane de

    ik na ik roz badal jā.egā farsūda nizām

    zulf-e-gītī ke zarā ḳham to sañvar jaane de

    phir batā.ūñgā tujhe ālam-e-mastī kyā hai

    sabr mere zarā jaam to bhar jaane de

    maiñ tire saath bahut duur nikal aaya huuñ

    zindagī ab to mujhe lauT ke ghar jaane de

    maiñ mohabbat huuñ mire dam se hai duniyā meñ bahār

    mujh ko ḳhushbū tarah 'shauq' bikhar jaane de

    apne haalat ki un tak na KHabar jaane de

    ab to jo dil pe guzarti hai guzar jaane de

    zindagi tu ne mujhe chain se jine na diya

    ab jo aaram se marta hun to mar jaane de

    tujh pe ho jaega ek roz masiha ka karam

    dard ko zabt ki manzil se guzar jaane de

    daur-e-hazir ka wo mansur bhi ban jaega

    jazba-e-dar zara aur nikhar jaane de

    ye tassub ki hawaen ye adawat ka ghubar

    aise tufan ko dabe panw guzar jaane de

    ek na ek roz badal jaega farsuda nizam

    zulf-e-giti ke zara KHam to sanwar jaane de

    phir bataunga tujhe aalam-e-masti kya hai

    sabr ka mere zara jam to bhar jaane de

    main tere sath bahut dur nikal aaya hun

    zindagi ab to mujhe lauT ke ghar jaane de

    main mohabbat hun mere dam se hai duniya mein bahaar

    mujh ko KHushbu ki tarah 'shauq' bikhar jaane de

    Source:

    Soch Ka Samundar (Pg. 80)

    • Author: Shauq Jalandhari
      • Publisher: Ontika Publishers, Ranchi
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now