Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne hathon ki lakiren na miTa rahne de

Mubarak Shamim

apne hathon ki lakiren na miTa rahne de

Mubarak Shamim

MORE BYMubarak Shamim

    apne hāthoñ lakīreñ na miTā rahne de

    jo likhā hai vahī qismat meñ likhā rahne de

    sach agar pūchh to zinda huuñ unhīñ ḳhātir

    tishnagī mujh ko sarāboñ meñ ghirā rahne de

    aah ai ishrat-e-rafta nikal aa.e aañsū

    maiñ na kahtā thā ki itnā na hañsā rahne de

    us ko dhundlā na sakegā kabhī lamhoñ ġhubār

    merī hastī varaq yūñhī khulā rahne de

    shart ye hai ki rahe saath vo manzil manzil

    varna zahmat na kare bād-e-sabā rahne de

    yuuñ bhī ehsās-e-alam shab meñ sivā hotā hai

    ai shab-e-māh mirī had meñ na aa rahne de

    zindagī mere liye dard sahrā hai 'shamīm'

    mere maazī mujhe ab yaad na aa rahne de

    apne hathon ki lakiren na miTa rahne de

    jo likha hai wahi qismat mein likha rahne de

    sach agar puchh to zinda hun unhin ki KHatir

    tishnagi mujh ko sarabon mein ghira rahne de

    aah ai ishrat-e-rafta nikal aae aansu

    main na kahta tha ki itna na hansa rahne de

    us ko dhundla na sakega kabhi lamhon ka ghubar

    meri hasti ka waraq yunhi khula rahne de

    shart ye hai ki rahe sath wo manzil manzil

    warna zahmat na kare baad-e-saba rahne de

    yun bhi ehsas-e-alam shab mein siwa hota hai

    ai shab-e-mah meri had mein na aa rahne de

    zindagi mere liye dard ka sahra hai 'shamim'

    mere mazi mujhe ab yaad na aa rahne de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now