Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne hi dil mein nahin har dil mein ghar maine kiya

Mast Hafiz Rahmani

apne hi dil mein nahin har dil mein ghar maine kiya

Mast Hafiz Rahmani

MORE BYMast Hafiz Rahmani

    apne dil meñ nahīñ har dil meñ ghar maiñ ne kiyā

    is tarah se zindagī tai safar maiñ ne kiyā

    ḳhūn-e-dil se 'umr-bhar maiñ ne sajā.e bām-o-dar

    zindagī lamha-lamha bā-hunar maiñ ne kiyā

    us ne baḳhshī 'ishq ke sahrā mujh ko sāhibī

    aur har zarre se us ko jalva-gar maiñ ne kiyā

    māh-o-anjum fikr qīmat chukā sakte nahīñ

    apne ik ik harf ko rashk-e-guhar maiñ ne kiyā

    ek ik Tahnī se miltī thiiñ hazāroñ ne'mateñ

    phir bhī un peḌoñ ko be-barg-o-samar maiñ ne kiyā

    'mast' shā'ir huuñ magar vāqif huuñ apne farz se

    be-ḳhabar rah kar bhī sab ko bā-ḳhabar maiñ ne kiyā

    apne hi dil mein nahin har dil mein ghar main ne kiya

    is tarah se zindagi ka tai safar main ne kiya

    KHun-e-dil se 'umr-bhar main ne sajae baam-o-dar

    zindagi ka lamha-lamha ba-hunar main ne kiya

    us ne baKHshi 'ishq ke sahra ki mujh ko sahibi

    aur har zarre se us ko jalwa-gar main ne kiya

    mah-o-anjum fikr ki qimat chuka sakte nahin

    apne ek ek harf ko rashk-e-guhar main ne kiya

    ek ek Tahni se milti thin hazaron ne'maten

    phir bhi un peDon ko be-barg-o-samar main ne kiya

    'mast' sha'ir hun magar waqif hun apne farz se

    be-KHabar rah kar bhi sab ko ba-KHabar main ne kiya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now