Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne hi log apne nagar ajnabi lage

Qaisar Abbas

apne hi log apne nagar ajnabi lage

Qaisar Abbas

MORE BYQaisar Abbas

    apne log apne nagar ajnabī lage

    vāpas ga.e to ghar har ik shai na.ī lage

    ḳhānoñ meñ baT chukī thī samundar vus.ateñ

    dariyā mohabbatoñ ke simaTtī nadī lage

    rātoñ bheñT chaḌh ga.e vo chāñd jaise log

    tārīkiyoñ ke dev jinheñ kāġhzī lage

    sonā sameTtī thī jahāñ khetiyoñ meñ dhuup

    vo fasl mere gaañv ḳhāshāk lage

    raavī shaam sindh nikhrī huī sahar

    kaam aa sake to un ko mirī zindagī lage

    'qaisar' diloñ ke fāsle aaise na the kabhī

    do gaam tai karūñ to mujhe ik sadī lage

    apne hi log apne nagar ajnabi lage

    wapas gae to ghar ki har ek shai nai lage

    KHanon mein baT chuki thi samundar ki wusaten

    dariya mohabbaton ke simaTti nadi lage

    raaton ki bhenT chaDh gae wo chand jaise log

    tarikiyon ke dew jinhen kaghzi lage

    sona sameTti thi jahan khetiyon mein dhup

    wo fasl mere ganw ki KHashak si lage

    rawi ki sham sindh ki nikhri hui sahar

    kaam aa sake to un ko meri zindagi lage

    'qaisar' dilon ke fasle aaise na the kabhi

    do gam tai karun to mujhe ek sadi lage

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now