apne hone pe pyar aata hai
apne hone pe pyaar aatā hai
aur be-iḳhtiyār aatā hai
ai ġhazāl-e-ḳhutan tirī jānib
koī dīvāna-vār aatā hai
ek tā.ūs ne kahā mujh se
mausam-e-sad-bahār aatā hai
dīda-o-dil meñ kar rakho mahfūz
ye samāñ ek baar aatā hai
maiñ kisī kā nahīñ usī kā huuñ
kab use e'tibār aatā hai
apne hone pe pyar aata hai
aur be-iKHtiyar aata hai
ai ghazal-e-KHutan teri jaanib
koi diwana-war aata hai
ek taus ne kaha mujh se
mausam-e-sad-bahaar aata hai
dida-o-dil mein kar rakho mahfuz
ye saman ek bar aata hai
main kisi ka nahin usi ka hun
kab use e'tibar aata hai
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 87)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.