Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne hone se tu mukar gaya hai

Sulaiman Jazib

apne hone se tu mukar gaya hai

Sulaiman Jazib

MORE BYSulaiman Jazib

    apne hone se mukar gayā hai

    pyaar bojh kyā utar gayā hai

    koī miltā nahīñ garebāñ-chāk

    is matlab hai qais mar gayā hai

    phir se fasl-e-bahār aane tak

    phuul dil bikhar bikhar gayā hai

    kahāñ hai use nahīñ mālūm

    DhūñDne tujh ko dar-ba-dar gayā hai

    aa.ine ko banāne vaalā bhī

    aa.ina dekhte Dar gayā hai

    kab yaqīñ aa.egā tujhe 'jāzib'

    apne va.ade se vo mukar gayā hai

    apne hone se tu mukar gaya hai

    pyar ka bojh kya utar gaya hai

    koi milta nahin gareban-chaak

    is ka matlab hai qais mar gaya hai

    phir se fasl-e-bahaar aane tak

    phul dil ka bikhar bikhar gaya hai

    tu kahan hai use nahin malum

    DhunDne tujh ko dar-ba-dar gaya hai

    aaine ko banane wala bhi

    aaina dekhte hi Dar gaya hai

    kab yaqin aaega tujhe 'jazib'

    apne wade se wo mukar gaya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now