apne honTon pe tera nam na aane dungi
apne hoñToñ pe tirā naam na aane dūñgī
maiñ tire hijr ko be-kār na jaane dūñgī
ab na vo tū hai na vo 'ishq jo pahle thā kabhī
tū agar duur bhī jā.egā to jaane dūñgī
āñsuoñ meñ bahā dūñgī mire dil ke TukḌe
apnī āñkhoñ ko tirā ranj manāne dūñgī
mere mahbūb tire baa'd kabhī apnā haal
na sunā.ūñgī kisī ko na sunāne dūñgī
tū agar sāmne aayā to bahut dekhūñgī
aur agar aañkh churā.egā churāne dūñgī
apne honTon pe tera nam na aane dungi
main tere hijr ko be-kar na jaane dungi
ab na wo tu hai na wo 'ishq jo pahle tha kabhi
tu agar dur bhi jaega to jaane dungi
aansuon mein baha dungi mere dil ke TukDe
apni aankhon ko tera ranj manane dungi
mere mahbub tere ba'd kabhi apna haal
na sunaungi kisi ko na sunane dungi
tu agar samne aaya to bahut dekhungi
aur agar aankh churaega churane dungi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.