Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne jaisi misal puchhte ho

Asim Wasti

apne jaisi misal puchhte ho

Asim Wasti

MORE BYAsim Wasti

    apne jaisī misāl pūchhte ho

    kitne mushkil savāl pūchhte ho

    tum ko aatī nahīñ hai dildārī

    'ādatan hāl-chāl pūchhte ho

    ḳhud ho vābasta-e-dar-o-darbār

    mujh se merī majāl pūchhte ho

    raa.e bhī yuuñ koī nahīñ detā

    jis tarah tum ḳhayāl pūchhte ho

    tum ne kab dard bāñTnā hai mirā

    kyoñ mirī jaan haal pūchhte ho

    jānte ho ma.āl-e-gardish-e-vaqt

    aur vaj.h-e-zavāl pūchhte ho

    hai sifārish agar to phir 'āsim'

    kyā hunar kyā kamāl pūchhte ho

    apne jaisi misal puchhte ho

    kitne mushkil sawal puchhte ho

    tum ko aati nahin hai dildari

    'adatan haal-chaal puchhte ho

    KHud ho wabasta-e-dar-o-darbar

    mujh se meri majal puchhte ho

    rae bhi yun koi nahin deta

    jis tarah tum KHayal puchhte ho

    tum ne kab dard banTna hai mera

    kyon meri jaan haal puchhte ho

    jaante ho maal-e-gardish-e-waqt

    aur wajh-e-zawal puchhte ho

    hai sifarish agar to phir 'asim'

    kya hunar kya kamal puchhte ho

    Source :
    • Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 113)
    • Author :Asim Wasti
    • Publication : Rekhta Publications (2020)
    • Edition : 2nd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now