apne KHwabon ke pas rahne de
apne ḳhvāboñ ke paas rahne de
kuchh to jiine kī aas rahne de
ġham mirā bāñTtī hai tanhā.ī
mujh ko tanhā udaas rahne de
yuuñ na kīchaḌ uchhāl auroñ par
tū ye ujlā libās rahne de
zaḳhm dil kā kabhī nahīñ bhartā
kab juḌā hai gilās rahne de
maiñ na kahtā thā ai 'safī' tujh ko
kab mohabbat hai raas rahne de
apne KHwabon ke pas rahne de
kuchh to jine ki aas rahne de
gham mera banTti hai tanhai
mujh ko tanha udas rahne de
yun na kichaD uchhaal auron par
tu ye ujla libas rahne de
zaKHm dil ka kabhi nahin bharta
kab juDa hai gilas rahne de
main na kahta tha ai 'safi' tujh ko
kab mohabbat hai ras rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.