apne liye nahin na zamane ke waste
apne liye nahīñ na zamāne ke vāste
sab kaam kar rahe haiñ dikhāne ke vāste
jitne anā-parast haiñ mahfil meñ un se ham
hargiz uThe na haath milāne ke vāste
ham se tamāsh-gāh-e-jahāñ kā na haal pūchh
ronā paḌā hai sab ko hañsāne ke vāste
kandhe pe le chale haiñ aqārib uThā ke laash
'ujlat meñ zer-e-ḳhāk dabāne ke vāste
āñgan meñ farsh Dhaal ke miTTī ko laa.e haiñ
shohrat-pasand peḌ lagāne ke vāste
har gaam pūchhtā hai vo ab merā hāl-chāl
sāzish lage hai mujh ko miTāne ke vāste
qīmat batā rahā thā har ik chiiz kī mujhe
laayā to thā vo ghar ko dikhāne ke vāste
bhūkā thā ik faqīr mire dar pe aur mire
ghar meñ nahīñ thā kuchh bhī khilāne ke vāste
'rānā' ke saath kahne lagā hai har ek shaḳhs
sāzish huī hai bastī jalāne ke vāste
apne liye nahin na zamane ke waste
sab kaam kar rahe hain dikhane ke waste
jitne ana-parast hain mahfil mein un se hum
hargiz uThe na hath milane ke waste
hum se tamash-gah-e-jahan ka na haal puchh
rona paDa hai sab ko hansane ke waste
kandhe pe le chale hain aqarib uTha ke lash
'ujlat mein zer-e-KHak dabane ke waste
aangan mein farsh Dhaal ke miTTi ko lae hain
shohrat-pasand peD lagane ke waste
har gam puchhta hai wo ab mera haal-chaal
sazish lage hai mujh ko miTane ke waste
qimat bata raha tha har ek chiz ki mujhe
laya to tha wo ghar ko dikhane ke waste
bhuka tha ek faqir mere dar pe aur mere
ghar mein nahin tha kuchh bhi khilane ke waste
'rana' ke sath kahne laga hai har ek shaKHs
sazish hui hai basti jalane ke waste
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.