Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne pahlu mein chhupae hue patthar nikla

Rahman Khawar

apne pahlu mein chhupae hue patthar nikla

Rahman Khawar

MORE BYRahman Khawar

    apne pahlū meñ chhupā.e hue patthar niklā

    ye tirā shahr bhī tujh sitamgar niklā

    thī jo mahfūz mire saath mirī ḳhāk-e-badan

    le uḌī tez havā ghar se jo bāhar niklā

    sab goyā.ī pe haavī thī mirī ḳhāmoshī

    kaun mujh tirī mahfil meñ suḳhanvar niklā

    shahr meñ phailā huā ḳhauf-e-shanāsā.ī thā

    ghar se har shaḳhs nayā ruup badal kar niklā

    kis taraf jāoge ab pyaas bujhāne logo

    dasht-e-be-āb se aage to samundar niklā

    ban ga.ī paañv zanjīr dar-o-bām yaad

    ḳhud mirī raah dīvār mirā ghar niklā

    mohabbat bhī to ik dushman-e-jāñ se 'ḳhāvar'

    apnā dushman na koī tere barābar niklā

    apne pahlu mein chhupae hue patthar nikla

    ye tera shahr bhi tujh sa hi sitamgar nikla

    thi jo mahfuz mere sath meri KHak-e-badan

    le uDi tez hawa ghar se jo bahar nikla

    sab ki goyai pe hawi thi meri KHamoshi

    kaun mujh sa teri mahfil mein suKHanwar nikla

    shahr mein phaila hua KHauf-e-shanasai tha

    ghar se har shaKHs naya rup badal kar nikla

    kis taraf jaoge ab pyas bujhane logo

    dasht-e-be-ab se aage to samundar nikla

    ban gai panw ki zanjir dar-o-baam ki yaad

    KHud meri rah ki diwar mera ghar nikla

    ki mohabbat bhi to ek dushman-e-jaan se 'KHawar'

    apna dushman na koi tere barabar nikla

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now