aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne zarf apni talab apni nazar ki baat hai

Syed Zameer Jafri

apne zarf apni talab apni nazar ki baat hai

Syed Zameer Jafri

MORE BYSyed Zameer Jafri

    apne zarf apnī talab apnī nazar baat hai

    raat hai lekin mire lab par sahar baat hai

    āshiyāñ ke saath puurī zindagī badlī ga.ī

    kam-nazar samjhe ki musht-e-bāl-o-par baat hai

    tā-abad kitne añdhere the ki raushan ho ga.e

    sham.a jalnā ba-zāhir raat bhar baat hai

    zindagī sadiyoñ hāsil zindagī sadiyoñ ruup

    zindagī jo chashmak-e-barq-o-sharar baat hai

    manzil ik rah-rav thak jaanā hai varna zindagī

    ik musalsal rahguzar paiham safar baat hai

    apne zarf apni talab apni nazar ki baat hai

    raat hai lekin mere lab par sahar ki baat hai

    aashiyan ke sath puri zindagi badli gai

    kam-nazar samjhe ki musht-e-baal-o-par ki baat hai

    ta-abad kitne andhere the ki raushan ho gae

    shama ka jalna ba-zahir raat bhar ki baat hai

    zindagi sadiyon ka hasil zindagi sadiyon ka rup

    zindagi jo chashmak-e-barq-o-sharar ki baat hai

    manzil ek rah-raw ka thak jaana hai warna zindagi

    ek musalsal rahguzar paiham safar ki baat hai

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 356)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now