Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni aankhon ke hisaron se nikal kar dekhna

Farooq muztar

apni aankhon ke hisaron se nikal kar dekhna

Farooq muztar

MORE BYFarooq muztar

    apnī āñkhoñ ke hisāroñ se nikal kar dekhnā

    kisī din apne na hone manzar dekhnā

    ik adam-ma.alūm-muddat se maiñ terī zad meñ huuñ

    ḳhud ko lamha bhar mirā qaidī banā kar dekhnā

    shaam gahre pāniyoñ meñ Duub kar ek baar phir

    shahr ke maujūd manzar ko palaT kar dekhnā

    dekhnā pichhle pahar ḳhvāboñ ik andhī qatār

    āsmāñ par TūTte tāroñ manzar dekhnā

    merā apne aap se bāhar bikhar jaanā tamām

    aur ḳhizāñ-dīda parindoñ mirā ghar dekhnā

    rañg apne aap ab sab ke sab zaa.il hue

    hai abas dīvār par ye naqsh-o-paikar dekhnā

    maiñ ki ḳhud muztar fasīl-e-jism ke is paar huuñ

    kyā bhañvar ḳhauf ab kaisā samundar dekhnā

    apni aankhon ke hisaron se nikal kar dekhna

    tu kisi din apne na hone ka manzar dekhna

    ek adam-malum-muddat se main teri zad mein hun

    KHud ko lamha bhar mera qaidi bana kar dekhna

    sham gahre paniyon mein Dub kar ek bar phir

    shahr ke maujud manzar ko palaT kar dekhna

    dekhna pichhle pahar KHwabon ki ek andhi qatar

    aasman par TuTte taron ka manzar dekhna

    mera apne aap se bahar bikhar jaana tamam

    aur KHizan-dida parindon ka mera ghar dekhna

    rang apne aap hi ab sab ke sab zail hue

    hai abas diwar par ye naqsh-o-paikar dekhna

    main ki KHud muztar fasil-e-jism ke is par hun

    kya bhanwar ka KHauf ab kaisa samundar dekhna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now