Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni aankhon ko kabhi Thik se dhoya hi nahin

Amit Sharma Meet

apni aankhon ko kabhi Thik se dhoya hi nahin

Amit Sharma Meet

MORE BYAmit Sharma Meet

    apnī āñkhoñ ko kabhī Thiik se dhoyā nahīñ

    sach kahūñ aaj talak khul ke maiñ royā nahīñ

    mere lafzoñ se mirā dard jhalak jaatā hai

    jabki is dard ko āvāz meñ boyā nahīñ

    ik daf.a niiñd meñ ḳhvāboñ janāza dekhā

    ba.ad us ke maiñ kabhī chain se soyā nahīñ

    tañg galiyoñ meñ mohabbat bhaTakte haiñ sab

    maiñ ne koshish to ka.ī baar khoyā nahīñ

    saañs ruk jaa.e taḌapte hue yādoñ meñ kahīñ

    hijr bojh kabhī dil pe yuuñ Dhoyā nahīñ

    maiñ kahānī meñ nayā moḌ bhī saktā thā

    maiñ ne kirdār ko aañsū meñ bhigoyā nahīñ

    apne rishte bhī ab 'mīt' bikharnā tai thā

    ham ne vishvās ke dhāge meñ piroyā nahīñ

    apni aankhon ko kabhi Thik se dhoya hi nahin

    sach kahun aaj talak khul ke main roya hi nahin

    mere lafzon se mera dard jhalak jata hai

    jabki is dard ko aawaz mein boya hi nahin

    ek dafa nind mein KHwabon ka janaza dekha

    baad us ke main kabhi chain se soya hi nahin

    tang galiyon mein mohabbat ki bhaTakte hain sab

    main ne koshish to kai bar ki khoya hi nahin

    sans ruk jae taDapte hue yaadon mein kahin

    hijr ka bojh kabhi dil pe yun Dhoya hi nahin

    main kahani mein naya moD bhi la sakta tha

    main ne kirdar ko aansu mein bhigoya hi nahin

    apne rishte ka bhi ab 'mit' bikharna tai tha

    hum ne wishwas ke dhage mein piroya hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now