Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni basti chhoD kar pardes mein jaenge kya

Khalilur Rahman Azmi

apni basti chhoD kar pardes mein jaenge kya

Khalilur Rahman Azmi

MORE BYKhalilur Rahman Azmi

    apnī bastī chhoḌ kar pardes meñ jā.eñge kyā

    yaañ to hai nān-e-javīñ bhī vaañ magar khā.eñge kyā

    har taraf ik sang-bārī ghar se nikleñ kis tarah

    sar salāmat na ho to sar ko sahlā.eñge kyā

    apnī apnī fikr sab ko apne apne sab ko ġham

    koī mil jaa.e bhī to ab dil ko bahlā.eñge kyā

    kaise pichhlī raat guzrī kaise niiñd aa.ī tumheñ

    sub.h sūraj jo pūchhegā to batlā.eñge kyā

    ham bhī the ‘ālī-dimāġh aur ham bhī the ‘ālī-nasab

    gar kaheñ apnī zabāñ se log farmā.eñge kyā

    apni basti chhoD kar pardes mein jaenge kya

    yan to hai nan-e-jawin bhi wan magar khaenge kya

    har taraf ek sang-bari ghar se niklen kis tarah

    sar salamat hi na ho to sar ko sahlaenge kya

    apni apni fikr sab ko apne apne sab ko gham

    koi mil jae bhi to ab dil ko bahlaenge kya

    kaise pichhli raat guzri kaise nind aai tumhein

    subh ka suraj jo puchhega to batlaenge kya

    hum bhi the ‘ali-dimagh aur hum bhi the ‘ali-nasab

    gar kahen apni zaban se log farmaenge kya

    Source:

    Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 88)

    • Author: Khaleel-Ur-Rehman Azmi
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now