Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni be-chehragi bhi dekha kar

Nusrat Mehdi

apni be-chehragi bhi dekha kar

Nusrat Mehdi

MORE BYNusrat Mehdi

    apnī be-chehragī bhī dekhā kar

    roz ik aa.ina na toḌā kar

    jidhar jaa.e din nikal aa.e

    raushnī mizāj paidā kar

    ye sadī bhī kahīñ na kho jaa.e

    apnī marzī koī lamha kar

    dhuup meñ isti.āra bādal

    agar hai to yaar saaya kar

    chāra-sāzī to kar rahe haiñ ġham

    mire āñsuoñ saudā kar

    jaane kab chhoḌ kar chalī jaa.e

    zindagī na yuuñ bharosa kar

    mas.ale haiñ to hal bhī nikleñge

    paas aa saath baiTh charchā kar

    apni be-chehragi bhi dekha kar

    roz ek aaina na toDa kar

    tu jidhar jae din nikal aae

    raushni ka mizaj paida kar

    ye sadi bhi kahin na kho jae

    apni marzi ka koi lamha kar

    dhup mein istiara baadal ka

    tu agar hai to yar saya kar

    chaara-sazi to kar rahe hain gham

    tu mere aansuon ka sauda kar

    jaane kab chhoD kar chali jae

    zindagi ka na yun bharosa kar

    masale hain to hal bhi niklenge

    pas aa sath baiTh charcha kar

    Source:

    Main Bhee To Hoon (Pg. 37)

    • Author: Dr. Nusrat Mehdi
      • Edition: 2013
      • Publisher: Shivna Prakashan
      • Year of Publication: 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now