apnī dīvār apne dar vaale
ham sabā-zād the sahar vaale
ye uḌāneñ paroñ pe likhī haiñ
ham parinde nahīñ shajar vaale
khul rahā hai shigāf-e-sub.h-e-falak
shab ke vaqfe nahīñ haiñ Dar vaale
kyā ḳhudā aa.egā zamīñ par ab
kho ga.e kis jagah hunar vaale
mil bhī jaate to ruk nahīñ paate
ham safar vaale tum safar vaale
apni diwar apne dar wale
hum saba-zad the sahar wale
ye uDanen paron pe likhi hain
hum parinde nahin shajar wale
khul raha hai shigaf-e-subh-e-falak
shab ke waqfe nahin hain Dar wale
kya KHuda aaega zamin par ab
kho gae kis jagah hunar wale
mil bhi jate to ruk nahin pate
hum safar wale tum safar wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.